Islam & Science In Urdu


                           Islam And Science In Urdu :



1)      Science ka exact lafzi tarjumah ilm ha . science  kissi bhi cheez kay waqooh pazeer houney ki mantaq talaash karti hai ya ooski basic functioning ya formation aur scientist bhi who kehlaatey haiN jo keh kissi bhi cheez ya amal keh mutaliq jaanah chahtey haiN aur oos say  mutaliq systemically proof hasil karna chhatey haiN.

2)      Scientific research  kulli tor peh insani aqal peh hee munhasir ha jubkeh koi bhi religion ya islam in particular ki basis definitely creator/Almight/supreme authority ya God ki baatai huwe mani jati haiN.

3)      Ajj k scientist khud iss baat ka eetraf kartey haiN k who universe k majmoee tor peh sirf or sirf 5% raazouN say pardah ootha sakaey haiN aur unka apna knowledge bahoot mehdood ha . Aur Quran maiN yeh baat wazah tor peh likhi huwe ha k jitna Allah bataana chhatey haiN sirf ootna hee woh jan sakaiN geh oos say zaydah nahee.

4)      Scientist  ka zaydah conflict religions (majmooee tor peh tamam religions) say iss leye raha k ooun k khiyal main religion ka koi physical proof nahiN ha . sirf or sirf aqeedah ha aur  zaeef-ul-ateeqadi ha kisi mazhab kay paroo.kar bunanaa.

5)      Bahoot say scientist aapney kaam kay douran ya apni ejaadad kay baad kam az kam Supreme authority ya creator peh iman to laey aaye theiy jinn main Isaac Newton , Michael Farraday , Albert  Einstein (kay bhi aisi baataiN hain jinn mai oosney creator ki sooch ko parhney ki khwashish ka izhar keya huwa ha )jaisey naam bhi shamal haiN. 

6)      Scientists ka yeh bhi kehna ha k overall atheism scientist main zaroor paya jata ha magar aam knowledge k bar.akas bahoot scientist God peh yaqeen rakhtey haiN aur oos ki main wajah yeh ha k jiss tarah kainaat ka nizaam chal raha ha aur jitni diversities iss kainaat mai haiN who kisi creator k bagair mumkin nahe

7)      jahaN tak reverters to islam ki baat hai to  ismeh recent Era main sub say zaydah Keith Moore ka ziqar keya jata ha (jinka basic/gross anatomy aur embryology peh authetic work ha) . keith Moore ka yeh kehna tha k human embryology ki jo stages oohnouN nah bahoot mushqil say modern equipments say parhaiN who kissi soorat 50 kya 150 saal pehle bhi nahiN parhi ja sakti theiN aur kahaaN k 1400 years pehle jubkeh tamam stages Quran main explained haiN. Reverters to islam main aur bhi bahoot scientist (anatomists aur mathematicians) atey haiN

8)      merey nazdeek islam science aur scientist ko manti ha  aur iski jo reason meri nazar maiN ha woh yeh keh jo sub say pehli Ayat nasal huwey usmeh "paRhney" aur ilm hasil karney ko kaha gaya.  Iskeh ilawah bahoot sari Islamic ayat haiN joh keh insaan ko Allah ki banaey huwee cheezouN aur insaan ki apni takhleeq ko paRhaney aur janch.naa.ay ki dawat daiti haiN .    "Travel in the land and see how (Allah) originated the creation, and then Allah will bring forth the creation of the Hereafter. Verily, Allah is Able to do all things.""[Al-Ankabut: 20].

9)      Jo eetrazat islam peh theiy k Quran ki jo aayat  "modern science" say clash karti haiN unmeh say besthar ka jawab deeyaa ja chhukha ha by Islamic scholars. Agar koi aam insaan bhi koi cheez ya machine bunata ha to who ooski basic functioning ya takhleeq kay amal ko sub say zaydah aur behtar janta hai . So kam az kum jo scientist Supreme authority/creator  peh iman lai atey haiN woh iss peh bhi yaqeen lai atey haiN k zaroori nahe k who creator ya supreme authority k tamam "handi work " to samaj sakaey houN ya dasroust samajh sakaey houN.

10)  Muslim scientist  jinhouN nay astronomy, physics aur doosri sciencies mai bahoot kaam keya aur unka kaam west k scientist nah use keya who Quran say hee madad laitey thiey.

11)    Aur agar scientist khud iss baat ko tasleem kar rahey haiN k ooun ka ilm mehdood hai aur ooski main wajah yeh hai ooun k baqool k finer instruments ya machinery nahiN hai to phir agar koi "izafi " scientific cheez religion main explained ho to oosko bhi maan laina chhaiye k insaan to khud apni kami ka etraaf kar raha ha.

12)  Baqe jo log religious hee gharaney main paidah huwey  aur upbringing huwe who zaydah tar religion ko hee maantay haiN aur ooski sub say baRi wajah yeh ha k amoumaN aqeedah itna hee zadah pukhtah bunaya jaatah ha.
 Aur agar religious background ya upbringing totally nahee ha to aik (science ya religion maiN say)hee ko follow karma chhaiye(jahaaN kahieN ikhteelaf ho). Islam ki as a whole/majorly conflict especially basic facts peh science say nahiN haiN. Bahoot sarey Islamic Scholars with scientific knowledge prove kar chukay haiN k Islamic teaching scientific haiN

No comments:

Post a Comment